by Saavan Sahib
Ujalo ki ahmiyat sabko wo batata hai
Jhuth kafur ho jata hai dekhker usko
SATYA hai Sachhai ke pankho ki hawa khata hai
YE ALAG BAAT HAI...
Ishq ki galiyo ko wo kabhi to Abad karegi..
Meri Talash me kabhi to apna woqt barbad karegi
Mai use her pal yaad karta hu.. ye alag baat hai
Per ek din ayega jab wo mujhe bhi yaad karegi..
MAI KYA KARU...
Meri Mohabbat ka ANJAM bheja hai usne mai kya karu
Meri Wafa ka Inam bheja hai usne mai kya karu
Dhadkano ka iklauta Malik banaya jise is Dil ne
Apni Shadi ka paigam bheja hai usne mai kya karu
MAI RAHU NA RAHU...
Mushkilo se wo hamesha Anjan bani rahe
Mai rahu na rahu uski Pahchan bani rahe
ZINDAGI sa chaha jise use rula kaise sakta hu Maula
Mai rou ya hasu per uske Hotho ki Muskan bani rahe...
ROTE HUE BHI...
Mahfilo se bhara Jaha nahi hai mere paas
Zami to hai per Aasma nahi hai mere paas
Mai rote hue bhi HASTA hi nazar aata hu sahib
Aasuo ka karwan nahi hai mere paas...
AMANAT...
Uski HASI ko apni KHUSHI ki jamanat samjhta hu
Wo Salamat rahe to khud ko salamat samjhta hu
Mera jism uske jism ka ik hissa hai sahib
Apni JAAN ko mai uski AMANAT samjhta hu...
HER KISI KO...
Her kisi ko Ankho me basana munasib nahi
Her kisi ko Sine se lagana munasib nahi
'Apna' kahne ko to koi kisi ko bhi kah sakta hai...
Per her kisi ko 'APNA' banana munasib nahi..
USKA NAAM...
Jo pila de wo Aakho se..Wo ik jaam kafi hai
Jo gujare wo sath mere,Wo ik Sham kafi hai
Ye daulat Ye shohrat..Mai kyu magu Tujhse Maula...
Mere hatho ki lakiro me bas USKA naam kafi hai...
TERE DER SE...
Teri fitrat ne mujhe Yaado ka Karwa bakhsha
Teri fursat ne mujhe Khwabo ka Kafila bakhsha
Tere dar se gujra jo Zindagi se dur jane ko
Teri SURAT ne mujhe Jine ka Hausala bakhsha...
AUQAT...
Meri kya baat hai
Meri kya bisat hai
Mohabbat ka Gulam pahle to na tha sahib
Per isne KHUDA ko na bakhsa to Apni kya Aukat hai...
DHOKHA...
Kya sham kya dopher ab to her ik pahr me dhoka nazar ata hai
Jis pe bachpan se gujarta raha aaj us dagar pe dhoka nazar ata hai
Dosto ko bhi ‘Shaq ki Nigah’ se dekhane ki Aadat si pad gayi sahib
Kya karu ab to Nazar-Nazar me dhoka nazar ata hai...
TERI ‘SADA’
Tanha na rah saka ek pal bhi tujhse milne ke bad Sahib...
Jaha se bhi guzra..
Teri "Sada" sath thi...
WO THI TO..
Wo thi to mere Zakhmo ko Dawa milti thi
Wo thi to mere Jazbo ko Dua milti thi..
Aksar sochta hu uske bare me Sahib..
Wo thi to mujhe "Jine ki Wajah" milti thi.
SITARO NE..
Baharo ne Shikayat kar di
Nazaro ne Shararat kar di
'Chand' ko 'Apna' banane nikla tha Sahib...
Sitaro ne Bagawat kar di...
TERI YAAD ME...
Zindagi ko sataunga teri yaad me
Ashiqi ko nibhaunga tery yaad me..
Tujhse rubru ho ke aisa lagta hai sahib ki..
Khud ko bhul jaunga teri yaad me..
KABIL WO HAI TO...
Wo apne Hunar pe magror hai hum apne hunar pe magror hai
Wo apne Nashe me choor hai hum apne nashe me choor hai
'KABIL' Wo hai to Hum bhi kuchh kam nahi Sahib...
Wo apni jaga mashhor hai.. Hum apni jaga Mashhor hai
JINE KI...KHWAISH
Tutne ki Fiza nahi milti
Bikharne ki Wazah nahi Milti
Jise 'Jine' ki na ho Khwaish..
Use.. Marne ki bhi 'Jagah' nahi milti.
GUMA...
Apni Tanhaiyo ko Hum Hawa nahi karte
Apni Rusvaiyo ka Hum Dhua nahi karte
‘Shayer’ hai per Aaj me Jite hai...
Apni Parchhaiyo pe Hum ‘Guma’ nahi karte
USKE KISSON KO...
Uske Rutbe me ik Paigam likhne ki Khwaish hai
Uske Sazde me 'Salam' likhne ki Khwaish hai
Ye Shero-Shayeri ka hunar 'KHUDA' ki badaulat hi to hai
Uske Kisson ko Subo-Sham likhne ki Khwaish hai...
ZALIM...
Apni Adao Se Udaker le gayi..
Apni Wafao Se Lubhaker le gayi..
Bade Najo Se.. Chhupa rakha tha sine me 'Dil' apna..
Zalim apni nigaho se churaker le gayi...
WARNA...
Apni Jindagi ko Satana pad jayega
Apni Ashiqi ko Rulana pad jayega..
Dil ka Kamzor hu.. aa jao.. ‘Dhadkano ke Thamne’ se pahle
Warna mere saath apni Chahato ko ‘Dafnana’ par jayega...
HA MAI SO JAUNGA...
Teri Tasvir se in Ankho ko Abad to kar lu,
Teri Salamati ke Liye apne 'Rab' se Fariyad to kar lu...
Ha.. Mai 'So' jaunga tujhse Sapno me milne ke Khatir..
Per ik bar 'Dil Se' tujhe Yaad to kar lu.
AAJ ‘EID’ HAI
'Uske' Sazde me 'Sir' ko Jhukana mat bhol jana..
Apni Kismat ko uske Rutbe me Azmana mat bhol jana..
Aaj 'Eid' hai.. Sabki 'Murade' puri hongi..
Apni 'Dua' se Rutho ko Manana na bhol Jana..
GAUR SE DEKHO...
Zindagi 'Maut' ki Numainda hoti hai..
Zindagi Maut sang Udta ik Parinda hoti hai..
Gaur se dekho ge to janoge Sahib ki...
Maut ke bina kaha Zindagi 'Zinda' hai...
INME JO BHI KHWAB HONGE...
Inse Nazre Milakar Zarre bhi.. Aftab honge
Inko Chhukar Guzrenge jo..Sitare wo Mahtab honge
Ye koi Mamuli nahi.. In Aankho me ‘Tum’ baste ho Sahib
Inme job hi ‘Khwab’ honge wo Lazwab honge
USKI MAUJUDGI ME...
Hotho pe Hasi aa jati hai Uski Majudgi me
Aankho pe Khushi Chha jati hai Uski Majudgi me
Mana ‘Wo’ koi Farishta nahi per kuchh to Khas hai Usme
Zindagi... ‘Zindagi si’ Nazar aati hai uski Majudgi me
FACEBOOK PER...
Wo jane kitni bar mere 'Der' pe aaker, 'Darwaza' Khat-Khataker chali gayi..
Mai kambakht 'USKA' naam Talash raha tha Facebook per...
IZAJAT...
Apni Dhadkano ki ahat hum sabko nahi dete
Apni Saason si inayat hum sabko nahi dete
Koi 'Khas' hoga jo Dil ke Kafi pas hoga
Gale milne ki ‘izajat’ hum sabko nahi dete..
WO MILE TO...
Mat puchh mere dost Zinda hu kab se
Jab se 'Wo' mili hai zindagi... Zindagi hai tab se
Kuchh bhi bhata nahi 'Uske Siwa' ab to
Wo mile to mai 'Jannat' bhi na mangu RAB se...
NASIB ME...
Ye Khuda ki Raushani he.. Ye Uska Ehsaas hai
Kal tak Sitaron ko tarsta tha.. Aaj Suraj bhi pas hai
Dekhker Mizaz Unka aisa lagta hai...Sahib
Aaj mere nasib me kuchh to 'Khas' hai..
MAHBOOB KE HUNER...
Mohabbat me Uljhe uske Lafz-e-Zahar maloom hai
Adavat me dubi uski nazro ke Qahar maloom hai
Pahle bulana fir Majhdhar me chhor dena..
Hume apne mahboob ke Hunner maloom hai...
MAI FIR KAHTA HU...
Meri sirfiri baton se inayat ho jayegi
Mere ankahe Jazbato se ibadat ho jayegi
Mat dekh mujhe aisi nafrat bhari nigaho se
Mai fir Kahta hu Tujhe 'Mohabbat' ho jayegi
TUM SATH NA HOGE TO...
Thodi si Saason me K
halish hogi..
Thodi si Ankho me Nami hogi..
Tum Saath na hoge Sahib to...
Zindagi me Kuchh to ‘Kami’ hogi...
KYU...
In thirakte Badalon ki tara kyu hume satate ho
In Kali Ghatao sa tum kyu aate jate ho..
Tum ‘Zuda’ ho to hum bhi kuchh kam nahi Saavan...
In chamkti Bijlion se kyu Hume darate ho...
JINKE GHER BADE HOTE HAI...
Unke Gharon ki Meenare Badi Hoti hai
Unke Gharon Ki Deeware Badi hoti hai
Jinke Ghar Bade hote hai Sahib...
Unke Rishton Ke Bich 'Darare' Badi hoti hai...
GOONZ...
Teri Ruswaiyo ki goonz hogi
Teri Parchhaiyo ki goonz hogi
Tu Chali Gayi ger meri duniya se Sahib
To Bas 'Tanhaiyo' ki goonz hogi...
PAL-PAL
Kisi ke liye Gamo ki Saza hai
To kisi ke liye Khushiyo ki Wazah hai
Pal-Pal Fisalna.. Fitrat hai iski...
Ye Zindagi to 'Muthhi ki Ret' ki tarah hai...
DIARY AUR KALAM...
Zindagi ke Kuchh mithe pal likhunga
Kabhi-Kabhi mai apna 'Gujara Kal' likhunga
Mujhe Dafnate samay 'Diary aur Kalam' bhi rakh dena Sahib...
Mai apni Ashiqui pe Kuchh ‘Gazal’ Likhunga...
TUM APNE THE JAB...
Tumhari rahon se ab milti nahi meri koi rah hai
Mai tum se dur rahu, ye meri chah hai..
Tum 'Apne' the jab.. to Dil ki bat keh deta tha
Ab tumse kuchh kehna bhi.. Mere liye 'Gunah' hai...
TU...
Tu Zami hai meri... Tu hi Aasmaa hai...
Muqammal 'Tujhme' mera Jahan hai...
Muddaton se dhunta fir raha hu tujhko
'Tu' yahi to thi per na jane ab kaha hai...
WO...
Mat naam lo 'Uska', mere naam ke saath Sahib..
'Wo' Mehmaa hai mere Dil ka...
Bus is se Jiyada aur kuchh nahi
KAL DIL SE NIKALA THA JISE...
Mohabbat ka Bharam badi sargarmi se pala ja raha hai
Wo Behosh hai magar..use fir bhi sambhala ja raha hai..
Lafz us ke aaj zuba ka sath nahi de rahe Saavan...kyoki
Kal dil se nikala tha usne jise.. Aaj uska 'Dil' nikala ja raha hai
YE ZARURI HAI...
Ger tujhe wazah na mile mujhe 'Maf' karne ke liye..
Tu thoda aur Woqt le Sahib mera 'Insaf' karne ke liye
Ho sakta hai ye tujhe zaruri na lage per
Ye bahut zaruri hai Mohabbat ko Pak-Saf rakhne ke liye...
KHUDA KARE...
Khubsurti is Zaha bher ki tujhme Mashroof rahe
Jab tak ye Qaynat rahe tera wazud rahe
Mai rahu ya na rahu Sahib...
Khuda kare ki tu Mahfooz rahe..
DIL HI TO HAI...
Chamkte Suraj ka tu 'Asra' hai to hai
Nikhrte Chand ka tu 'Ashiyan' hai to hai..
Dil hi hai.. Aa hi gaya Tujhpe Sahib...
Ab Tu.. 'Khuda' hai to hai...
HAMARE BEECH...
Hamare beech kabhi Duriyon ka Ehsaas na mile
Nazdikiya itni ho ki Hawa bhi Guzre to use ‘Saans’ na mile..
MERI YAAD...
Tere dil ke darwaje pe dastak deti hogi
Teri rago me pal-pal bahti hogi
Mana mai tujhse Juda hu to kya Sahib
Meri Yaad ab bhi tujhe apna kahti hogi
APNI KITABON ME...
Apne Sawalon me uski Tashir rakhta hu
Apne Zawabo me uski Tadbir rakhta hu
Padhte-Padhte kahi 'So' na jaun Sahib...
Isliye apni Kitabon me uski 'Tasvir' rakhta hu
APNE SINE ME..
.Chamkte Chand ko Bahon me basa rakha hai...
Jane apne 'Sine' me 'Humne' kya-kya Chhupa rakha hai
AASMA KA TARA...
Is Zami me hi 'Dafan' ho jana para sar-e-aam Sahib
Mai Khud ko 'Aasma ka Tara' samjhne laga tha...
Hal-e-Dil
WO CHAHTE TO...
‘Shukra’ hai ki usne wada nahi kiya,
Gum zara bhi nahi hai uske jane ka...
Gum hai jo usne ane ka irada nahi kiya.
Uski gali to malum hai per ghar nahi malum,
Kyoki Ghar janane ka Hamne kabhi irada nahi kiya.
Wo chahate to khud hi chale ate yahan pe..
Par 'PYAR' Shayad Hamse Unhone zyada nahi kiya.
DO GAZ ZAMIN...
‘Do Gaz zamin ke neechhe’ yu hi Talashane gaye hum unko,
Dekha to wo Aasma pe virajman the...
Unki khushio me char Chand dikkhe,
Aur hum kabra me 'Pareshan' the.
'Dil tutne ki wazah' jani jab humne sahib
Yaki hua ke hum kitne Bewakuf, Kitne 'Nadan' the.
MANZIL DUR HAI...
Har ik daur me 'Sar-ankhon' pe rahi 'Laila'
Dosh 'Mazanu' ko dena.. ye Zamane ka dastur hai,
Mai 'Parvana' hu Jal ke marna fitrat hai meri
Wo 'Shama' hai.. par use bhi to Bujhna zarur hai,
Us se Yari ki hai maine apni Biradari ko chhorker
Ye meri Mazburi hai.. Ye mera Kasur hai...
Chalte raho Saavan.. isi dagar pe..Yu hi
Rasta to yahi hai, Ye mana 'Manzil' abhi dur hai.
IS TARAH...
Is anokhe zahan me sahib
Uski khubsurti use aksar daga deti hai,
Sham hoti hai to wo kuch sochati hai phir..
Haule se apne har Zakhmo ko jaga deti hai,
Manzilo ka pata nahi per..
Jis raah se guzarti hai ik deepak Jala deti hai,
Kabhi jo Hasati thi harpal usko..
Wahi bat ab uski aankho ko rula deti hai,
Maine puchha to usne bataya 'Saavan' ki..
Is tara wo 'Dil ki Hasrato' ko Chhupa leti hai
GHER CHALE AANA...
Gher me woqt bitqne ka jawab nahi,
Apno ki ahmiyat ka hisab nahi..
Bado ka ashirwad, chhoto ka pyar
Abba ka datna, Ammi ka dular..
Kaha milti hai aisi khushiya Saavan
Her pal ik nagma aur her lamha yadgar.
Jab koi apna thage to gher chale ana,
Jab her jakhm ukhda lage to gher chale ana,
Her merz ki dava mil jayegi tumko sahib..
Jab kahi achha na lage to gher chale ana.
KhubsuratAlfaz
HaleDil
DastaneAshiqui
AboutThePoet
ConnectWithMe
JAB TAK KAATE NA CHUBHE...
Wo kaun thi kya kahu..
Ab to khud ke bare me bhi kuchh kaha nahi jata,
Gum to sah leta hu.. Hasker
Per Khushi ka ik lamha bhi ab saha nahi jata,
Pura Maikhana pine ki aadat ho gayi apni..
Aath-Dus pag me ab raha nahi jata,
Dosti phulon se chhor di kab ki...sahib
Jab tak Kaante na chhubhe ab MAZA nahi aata.
DIL MERA...TODKER
Mai bura hu..
Ye khayal tumhare Zehan me aya kaise.
Samajhkr Nachiz...
Mujhe tumne bhulaya kaise,
Apna kaha tha to apne jaisa samjhte tum..
Aaj Begana mujhe tumne banaya kaise,
Mai to khuli kitab that tumhari khatir..
Tumne apna her Raaj mujhse chhupaya kaise,
Nahi chahiye tha to wapas ker dete Sahib..
Dil mera Todker tumne 'Bikhraya' kaise.
TERI KASAM...
Jaha ik boond aasu girta tera
Hum haskar apna lahu baha dete,
Tu gale jo lagati hume..
Hum palko pe bitha lete,
Per tune to pahchana hi na kabhi
Apne is Parwane ko...
Bas ikbar muskurake to dekhti
Teri kasam hum jaan tak luta dete.
KAHI AISA NA HO...
Aise na mila nigahe meri nigaho se
Kahi
aisa na ho ki Ankhe jagti rahe aur tu so jaye,
Mere sirfire hotho pe chho gayi jo tere surkh hotho ki lali
Kahi aisa na ho ki tu bewajah kurban ho jaye,
Itni khamoshi me mili jo meri saanse teri saso se..
Kahi aisa na ho ki mera jism teri rooh ho jaye,
Itna na dub mere Wajud me Sahib
Kahi aisa na ho ki Tu.. Mujhme hi Kho jaye.
KAUN JANE...
Jis rau me aaj hu..
Us rau me kal bahu na bahu,
Jo baat dil me hai aaj..