by Saavan Sahib
Kya pata kal kisi se kahu na kahu,
Sathiyo Naye saal ki mubarakbad
Aaj hi dena chahta hu sabko..
Kaun jane..
Mai kal rahu na rahu.
WO BURA HAI DIL KA...
Kahi pighal na jaye meri aahe uski panaho me
Wo bura hai dil ka.. Aisa log kahte hai...
Kahi machal na jaye meri chahe uski baho me
Wo bura hai dil ka.. Aisa log kahte hai...
Kahi ulajh na jaye meri saase uski saaso me...
Wo Bura hai Dil ka... aisa log kahte hai...
Kahi badal na jaye meri rahe uske gunaho me...
Wo Bura hai Dil ka.. aisa log kahte hai...
JAHA CHHALAK JAYE AANSU...
Jo ik bar muh chidhaye mujhko..
Us Aaine pe hum dobara nahi savrte,
Jis pe ikbar dill tut jaye..
Us Chah ke liye dobara nahi bahkte,
Tumhari tum jano sahib per..
Apni to ye Aadat hai ki,
Jaha ‘Chhalaq’ jaye ikbar meri Aankho se Aansu
Us Raah se hum Taumra nahi Gujrte..
MOHABBAT KE CHAKKAR ME....
IS Mohabbat ke chakkar me
Khud ko kitna sataya maine
Uski mahfile sajate hue aksar
Khud ko Aksar tanha paya maine
Pal bher me jala baithi wo ashiyana mera
Tinka-Tinka jodkar taumra jise banaya maine
Meri khushi bhi use chubhti rahi
Jiska her Aasu apni Aakhon me basaya maine
Marke bhi uska ho na saka
Jite ji ik pal bhi na jise bhulaya maine
Ik Adad IKRAR ki chah me Tarsa her pal
JINDAGI ‘Tu’ bata Tujhse kya paya maine.
PYAR KE LIYE...
Gum ki gahraiyo me dubta na to kya karta
Hath khud Mohabbat ke Ehsas ne chhora hai
Kaise dikhegi bhala chamak mere chehre pe
Usne her ik aasu mere lahu se nichora hai
Gair ki baat hoti to kab ka bhula deta sahib
Dard hua jab muh kisi Apne ne moda hai
Dil kare baya ger jazbat bhi to kis se
Jab bhi toda hai kisi Khas ne toda hai
Rishte banane me kisi ki sunta nahi Saavan per
PYAR ke liye ab uske paas WOQT bahut thoda hai...
GER TUJHE BHUL JAU TO...
Sikko ki dagar me Garv se ger ful jau to
Muqaddar ke thapedo se bas ikbar rula dena
Rishto ki bhawar me ger jhul jau to
Meri ruh ko ikbar Joro se hila dena
Tujhko zindagi bhar dekhne ki
Bas ik KHWAISH hai aie Maula...
Zamane ki Numaish me Tujhe ger bhul jau to
‘Woqt’ ki god me mujhko Sula dena.
DUWAO KA ASAR...
Usne dekha jo Sar-e-Sham yu hi
Meri TANHAI ke Silsile tal gaye..
Wo jalati rahi Mandiro me Dipak aur..
Meri Nakami ke Kafile jal gaye..
Ise Kudrat ka karishma kahe ya
Uski Duwao ka Asar...
Bas ‘Maa’ ne Dil se pukara "Beta"
Meri Manjilo ke Fasle dhal gaye.
TU BOL...
Mere ISHQ ka kya Falsafa hoga..
Tu Bol tujhe Kuchh to pata hoga..
Bahut socha hai isne tere bare me
Iski yaad me Tune bhi to kabhi kuchh woqt diya hoga
Tu hi bayan kar de iska akhiri Anjam..
Iski adavat ka koi to Sila hoga.
Tu milegi kabhi ise Zindagi ke kisi mod per
Ya Teri chah me ‘Ye’ yu hi Fana hoga...
Dastan-e-Aashiqi
KINARA NA THA...
Pyar kya cheez hai ye hamko nahi malum,
Per tumse dur rahna is Dil ko gavara na tha.
Bhatakta raha din-rat har gali me yu hi..
Per Tumhare siva koi apna sahara na tha.
Ulphat me kai bar Talasha ik sathi maine,
Per apni tarah zahan me koi Awara na tha.
Chahata to mai bhi le aata 'Tare Zamin per',
Per kambakht Aasma me koi Sitara na tha.
Dubna hi pada is ishq ki bhawar me humko Sahib..
Kya karu apni kismat me koi 'Kinara na tha'.
ISHQ....
Ishq 'Zazba hai Bekhayali Ka' Tohmat Nahi
Woqt zab bhi pada hai isne 'Jataya' hai Khud ko,
Kiya Jaha ne 'Bekhud ise' jab bhi..
Todkar 'har rashm' is ne Nibhaya hai Khud ko,
Wafa nahi Zafa nahi 'Khud Khuda' hai ye..
'Har Burai se' is ne bachaya hai Khud ko,
Alfaz kaha.. jo bayan kare isko..
Phir bhi bar-bar isne 'Sunaya' hai khud ko,
Lakh koshishon me bhi na Bikharega ye..
'Is Taz' me Ishq ne Sulaya hai Khud ko,
Yaki nahi aata to khud se puchh lo..
Aapke Dil me bhi ishq ne 'Jalaya hai' khud ko,
'Wo Tanhai wo Sham' Aapne bhi to guzari hai..
Jab is ishq ne 'in Hotho pe' khilaya tha khud ko,
Ye Muskan ka raz ab bhi nahi samzhe to suno Saavan..
Is ishq ne hi Jaha me 'Milaya' hai Sabko.
THODI DER...
‘Pajeb ki jhankar’ se Kuchh yad aya...
Ek Dhani si chuner, ek bali si umar..
Sazili si dagr pe wo suhana safer.
Lato me uljha wo chand sa mukhada,
Khud wo noor thi ya noor ka tukda.
Chatkile phulo pe bhavro ki gungun..
Purane gito ki remix ki nayi dhun.
Usne ate hi puchha..
'Kaise ho tum, kya ker rahe ho..
Kis shahr me ho, kya Shadi ker li'
Mere to do bachhe hai.. Ek ka nam...!
Aur dusra....!
Zawab de sakta tha... Ki..
"Thik hu, Bahut kuchh ker reha hu..
Gher pe hi hu ajkal, Shadi nahi huyi..
Tumhara intzaar ker raha tha.."
Lekin kaha..
"I am very fine & just Married"
Zara jaldi me hu.. Phir kabhi milunga.
Aur chal diya..
Thodi der aur ruk jata to Aankhe ‘Sachhai’ bata deti...
AISA LAGTA HAI...
Aisi Sardiyo me..
Har Pal mere hatho pe uska hath hua karta tha...
Mere Her kadam pe uska saath hua karta tha
Wo bolti thi kuchh Mai sunta tha kuchh phir bhi
Hamesha ik-duje ka Ehsas hua karta tha...
Wo Sadgi ki murat thi...
Use meri aur mujhe uski jarurat thi
Aaj mere hatho me uska hath nahi hai
Wo sath hoker bhi Sath nahi hai
Aaj Wo jo bolti hai mai wahi sunne ki koshish karta hu per Jane kyu..?
Uski Kisi baat me uska Ehsas nahi hai
Aaj Wo Sadgi ki Murat nahi hai..
Jane kyu aisa lagta hai ki
Use meri ZARURAT nahi hai
WAJAH...
Aa pila du tujhe apani wafa ka ik ghut saaki..
Tu bhi jan jayega ki nasha kya chiz hai,
Hogi barsat her taraf aise jalwo ki..
Tu barbas kah padega ki Ada kya chiz hai,
Hal-e-Dil baya karne ko lafz na milenge jab
Tab tu samjhega ki Ishq ki intha kya chiz hai,
Asuo se bhig ke ayegi jab khushi saaki..
Tu khud jaan lena ki iska maza kya chiz hai,
Diware na dikhengi per salakhe jazbato ki hongi..
Pata chalega tujhko ki saza kya chiz hai,
Kuchh bhi nahi hota uski barabari me sahib
Tu kya jane ki pyar ka guma kya chiz hai,
Roj phaste hai iske zaal me lakhon Saavan.
Kaun jane ki iski ‘Wajah’ kya chiz hai.
MERI KEEMAT...
Kaha sahil kaha samander sab ek se dikhte hai
Ye duniya paimane me barf ka guma sa lagti hai,
Mushkile Khud ba khud bachati rahi hamse apne aap ko
Meri Surat Badnasibiyo ka kafila sa lagti hai,
Mail Zahil hu.. Gawar hu.. Aisa log kahte hai
 
; Is jamane me Wafadari ab Bala si lagti hai,
Koi pahchanta nahi kisi bhikhari ko..
Amir ke zuto me logo ki jaa lagti hai,
Humne thukraya Khul-e-Aam jinko...
Un sikko ki Zarurat ab her jaga lagti hai
Sabhi kahte hai ki Bik jayega ‘Saavan’ bhi ik din
Apko aie sahib 'Meri Kimat' kya lagti hai..?
SAAVAN KISI KO RULATA NAHI...
Saavan kabhi dard lata nahi
Saavan kabhi dil jalata nahi
Saavan her ik marz ki hai dawa
Saavan kisi ko satata nahi,
Saavan kisi ke liye hai khushi
Saavan kisi ka hai sara jaha
Saavan sabhi ke dilo me basa
Na pochho ki Saavan ka gher hai kaha
'Rashmiyo' sang hamesha machalta hai ye
Saavan kahi aur jata nahi..
Saavan kisi ko satata nahi..
Saavan kisi ko rulata nahi,
Kisi se fariyad karta nahi
Kisi ko ye yaad karta nahi
Hai Mahboob iska rago me basa
Kisi aur pe ye merta nahi,
Muskarana... Bas iski Ada ek hai
Ashq ankho me kabhi ye lata nahi,
Barse Saavan me Badal ye ghanghor hai
Nache Saavan me charo taraf Mor hai
Hai nahi reh gaya Gum ka nam-o-nisha
Her taraf Ishq ka shor hi shor hai,
Dil se Dil jodna iski fitrat me hai
Hath kisi se kabhi ye milata nahi,
Saavan ki Anokhi wo barsaat thi
Saavan ki Dhudhli si wo rat thi
Jis Ghadi tum mile the humse gale
Saavan ke Taro ki Barat thi,
Aise pal ko koi bhul pata nahi
Aisa manjar kabhi roj ata nahi,
Saavan kisi ko satata nahi
Saavan kisi ko rulata nahi
Seekh jate hai sab pyar karna yu hi
Saavan kisi ko sikhata nahi..
MAI JEENA CHAHTA HU....
Mai jeena chahta hu.. Saavan
Mai jeena chahta hu..
Waha jaha koi jati na ho, koi bhed na ho
Apne padosi se jaha kisi ko koi Khed na ho,
Jaha rishte na ho, kasme na ho, wade na ho,
Ik duze se ladne ke jaha irade na ho,
Jaha Jism-o-faroshi ka prachar na ho
Rupaye paiso ka jaha bhrastachar na ho,
Jaha Amiri ke pichhe koi aniti na ho
Garibi ko lekar jaha rajniti na ho,
Jaha kisi ki koi mazboori na ho
Jaha dilo me kisi ke koi duri na ho
Jaha Mandir na ho na koi Masjid ho
Jaha Dharmo ko lekar koi Zid na ho,
Jaha na Hindu ho na koi Musalma
Jaha na koi Puja ho na padhe koi Kalma,
Jaha na Gum ka samander ho na Khushiyo ka manzar
Jaha na Atit ki chinta ho na Bhavishya ka der,
Jaha Gharo ke Aangan me diware na ho
Jaha ki zami pe Sarhad ki Darare na ho,
Jaha mile koi to puchhe kahiye kaise aaye
Ye na puchhe ki waha gaye the kya laye,
Jaha koi Police na ho, Na koi Apradhi ho
Jaha kisi ke ‘Mann ki Baat’.. Adhi na ho,
Jaha koi afsar na ho, na koi naukar ho
Jaha kisi ke kadmo pe kisi ka 'Ser' na ho,
Jaha ke Bujurg Lachari me Bikhrte na ho
Jaha ke Bachhe.. ‘Bhokh’ se marte na ho,
Jaha Maut ka kisi pe Raaj na ho
Jaha Zindagi kisi ki Mohtaz na ho,
Yaha se kahi dur le chalo Saavan mujhko
Yaha se bahut dur..
Yaha to sab kahte hai... "Ye mera hai, wo mera hai.."
Yaha to Suraj ke rahte bhi charo or Andhera hai,
Yaha kisi na kisi ki her pal Ruswai hai
Yaha ki mahfilo me bhi Tanhai hai,
Meri Saase tham rahi hai
Meri Nabze jam rahi hai,
Na jane kyu Saavan..
Mera Dil machal raha hai
Mujhe yaha se dur le chalo Saavan..
Mera 'Dam' nikal raha hai...
THE HUSBAND’S PROBLEM...
Husband to Saasu ji...
Mammi apni Beti ko dekh lo, ab to gher ke baher bhi kapde utarne lagi
Bhid ko dekhker chaurahe pe seeti marne lagi,
Subah se leker sham tak ye Aina niharti hai
Chhat pe khadi hoker Gaav walo ko Aakh marti hai
Baal iske dekho kya style se katwaye hai
Gal iske dekho gubbare ki tarah fulaye hai
Kisi gair ki paint aur kamiz pahnti hai
Mana karne per mujhe 'Badtamiz' kahti hai
Sare niyam kanono ko khuti pe tangti hai
Logo se ik chumme ke badle 100 ka note mangti hai
Subah iski Disco me hoti hai aur Dopher Pub me
Sham ke saath-saath rat bhi gujarti hai club me
Bolti hai aise jaise Vish ki funkar ho
Dekhti hai aise jaise Bipasha ki awatar ho
Kisi gair se lipatkar photo ye khichwati hai
Dulha hume banaya hai aur chakkar padosi se chalati hai
Hum to ise samjha-samjha ke Ub gaye
Short me kahe to chullu bher pani me dub gaye
Apni is Ladli ko ab aap hi samjhaiye
Jitna jaldi ho sake action me aa jaiye
Pani kahi Sir ke uper se na nikal jaye
Bati jalti hi rahe aur Mom pighal jaye
Saasu ji ne ‘Damad ji’ ko Samjhate hue kaha ...
Beta Tum Bewajah chinta kerte ho
Her pal her chhan apno se hi darte ho,
Ger patni.. Pati se na lade to ye kaliyug ka apman hai
Patni ka club me jana hi ajkal ki shan hai
Socho bas ik chumme ke badle wo 100 rupye gher lati hai
Kya hua ger sham ko wo pikar ke gher aati hai
Koi kaam tumhara kabhi adega nahi
Padosi jal me fasa raha to kabhi ladega nahi,
'Badtamiz' wo upadhi hai jo kahi-kahi chalti hai..
Tum to khushnasib ho jo tumhe her roz milti hai,
Subah se leker sham tak wo Aina nihare
Meri Dua hai ki wo sare Sansar ko line mare,
Isi se tumhara aur uska Promotion hoga
Bas isi se hamare Khan-Dan ka na raushan hoga,
Niyam ya kanon wo nahi Manti hai
Mane bhi kyu uska naam jo 'Ashanti' hai
Apne naam ke saath chalna use sikhaya hai
Mom ke bina bhi jalna use sikhaya hai,
Uski parwarish ne mujhe Dharm-sankat me dal diya
Britny banana chahti thi use aur tumne bas Bipasha kahke ‘Taal’ diya
Ye Tumhari pahli aur akhiri galti hai aainda se khayal rakhna
Meri Beti ko Bipasha nahi Pop-star ‘BRITNY’ kahna.
MERE HUMSAFAR...
Jab kabhi Ishq ki baat hoti hai
Jab kabhi Jhom ke barsat hoti hai
Jab kabhi Gher me kuchh khas hota hai
Jab kabhi Khushi ka Ehsaas hota hai..
Jab ye Palke dub-dub jhilmilati hai
To Mere ‘Humsafer’ teri yaad ati hai..
Jab kabhi koi Sapna Tuteta hai
Jab kabhi koi apna Ruthta hai
Jab kabhi Saaso ki kami si lagti hai
Jab kabhi Aakho me nami si lagti hai..
Jab kabhi hotho pe Fariyaad ati hai
To mere Humsafer teri yaad ati hai...
Jab kabhi apni Parchhai dikhayi deti hai
Jab kabhi kisi ki Shahnai sunayi deti hai
Jab kabhi Dil udas hota hai...
Jab kabhi Akele-pan ka Ehsaas hota hai...
Meri ankhe yu hi Aasuo se bher jati hai
Aur mere Humsafer teri yaad ati hai...
Jab kabhi koi apni Mahboba sang ghumta hai
Jab koi kisi ko Pyar se chumta hai...
Jab kisi ke Gesuo me koi Sota hai
Jab apne dilber ke Agosh me koi hota hai
Mere dill ki Dhadkane bhi khamkha badh jati hai...
To mere Humsafer teri yaad aati hai...
KABHI
MERE GHER ME...
Kabhi mere gher me her din holi sa lagta tha,
Kabhi mere gher me her roz Diwali hoti thi,
Mere Baba apne Pople galo pe lagwate the gulal..
Meri Dadi muskarati thi dekh ke unka ye hal,
Mere chacha mujhe sham-o-saher godi me ghumate the..
Meri chachi mujhe mujhe pyar se apne sine se lagati thi,
Mere Abbu sab pe jaan lutate the..
Meri Ammi sara gher chalati thi,
Hil-Mil ke manate the hum her tyohar..
Khushiyo se sarabor rahta tha mera parivar..
Jane kiski hume nazar lag gayi..
Sari khushiya Woqt ki Thokro se bikher gayi..
Baba to Khuda ko pyare ho gaye..
Dadi ki aankho ke najare kho gaye,
Apna pet kat-kat ker Abbu ne karai jinki padhai..
Eke-Eke 'Ete' ke batware me ladte hai wo bhai..,
Bhai-bhai ke rishto me pad gayi hai Darare..
Gher ke Angan me uth gayi hai Diware..
Bado ki izzat karna to chhotto ka Farz hota hai...
Per Dekhker gher ki Halat ‘Mujhe’ bada dard hota hai,
Jane kyu log gher basate hai...
Jane kyu log rishte banate hai
Jane kyu tutete hai haste-khelte parivar..
Jane kyu apne hi apno ke 'Dushman' ban jate hai.